Blogger Ke Liye Search Engine Optimization (SEO) Tips

Jaisa ki aapko pta hai blogger ek free & easy blogging platform hai, wordpress me SEO ke liye plugins ka use kiya jata hai lekin blogger me aisa nahi hai. yaha me aapko kuch search engine optimization tips batane ja rha hun jo aapke blog ki search engine ranking improve karne me help karegi.

Blogger Ke Liye Search Engine Optimization (SEO) Tips
Blogger Ke Liye Search Engine Optimization (SEO) Tips

Blogger SEO Tips :-




Jab hum SEO ki baat karte hai to 2 tarah ka search engine optimization hota hai, on-page seo aur off-page seo.
On-page seo me post ki quality, keywords aur meta description ko optimize kiya jata hai

1. Post Ka URL Optimize Kare


Post ki search engine ranking me permalink bahut useful factor hota hai, blogger permalink ke liye yaha kuch rules hai jo aapko follow karne chahiye.

Post ke title me 50 se jyada character use nahi kare.
Stop words(A, An, The) use nahi kare.

Blogger me post likhte time Post Setting me custom permalink set karne ka option aata hai, jisko edit karke search engine me better result pa sakte hai.
Post publish hone ke baad post ki permalink kaise edit kare jan ne ke liye niche di gayi post padhe.



2. Keywords Ki Density Maintain Kare


Keyword density bhi better ranking ke liye important factor hai, post me sirf 2% se 4% targeted keywords use kare.
Post likhne ke baad dekhe ki kha-2 keywords use kar sakte hai.


3. Post Title Optimize Kare


Blogger me jab aapka post search engine me show hota hai to post title se pahle blog title aata hai jo search engine ranking ko affect karta hai, isliye blog title se pahle post title show karne ke liye niche diya gaya code replace kare.

Blogger dashboard me Template Editor  me jaye.

title><data:blog.pagetitle/></title>

Upar diya gaya code dundhkar niche diye gaye code se replace kar de.

b:if cond= 'data:blog.pageType == &quot;index&quot;'>
<title><data:blog.title/></title>
<b:else/>
<title><data:blog.pageName/></title>
</b:if>


4. Nofollow Tag Use Kare


Nofollow tag external links ke search engine advantage ko block karne ke liye kiya jata hai, post me external link add karte time nofollow tag add karne ka option aata hai.

5. Comments Section Optimize Kare


Spam comments se bachne ke liye comments section ko moderated rakhe, aur comments ka reply karte time keywords ka use kare.