Blog Post Interlink Karne Ke Fayde
Jab maine blogging start kari thi to me apne posts me internal linking nahi karta tha, bas post publish karke facebook par share karta tha, visitors aate the aur 2-3 post padhkar wapas chale jate the.
Baad me jab me apne blog posts me internal links add karne laga to dekha ki mere blog par ab visitors pahle se jyada time spend kar rahe hai aur purani posts ko padh rahe hai, aur ye sab hua interlinking ki wajah se.
Blog Post Interlink Karne Ke Fayde
|
SEO Aur User Experience Me Interlinking Ke Fayde
1. Reader Ke Liye Related Posts :
Internal linking karne se readers ko post se related kuch aur bhi padhne ko milta hai, waise to iske liye Related Post widget hota hai lekin related posts par interlinks se kam click hote hai.
2. Pageviews Aur Vistors Length Badhti Hai :
Purane posts ko naye posts me interlink karne se readers lambe time tak aapke blog par rahte hai, jis se visitors length aur pageviews badhte hai.
3. Search Engine optimization :
Purane posts ko interlink karne se un pages ki page rank increase hoti hai, interlinking se aapke post me us se related keywords bhi add honge jo SEO Me help karenge, internal linking karne ke baad ek din me to nahi lekin 1 week ke andar aapko fark jarur dikhega.
Internal linking karte waqt jis post ko aap link kar rahe hai uske liye relevant keywords use kare, har ek post ko naye post se interlink nahi kare, sirf relevant post hi link kare.
0 Comments