Blogger Post Ki Permalink Kaise Change Kare

Blogger Post Ki Permalink Kaise Change Kare


Jab aap blogger par post likhkar publish karte ho to uska permalink jaise http://www.domain-name.com/blogger-par-permalink-kaise-change-kare automatic set ho jata hai, lekin better SEO ke liye post ki permalink ko optimize karna jaruri hai.
jaise http://www.domain-name.com/change-blogger-permalink.

Post likhte time to aap right side me Post Setting me jakar Permalink ke option par click karke Custom Permalink use kar sakte hai lekin post publish hone ke baad custom permalink ka option nahi aata. aise me kabhi galati se permalink ko bhulkar post publish kar diya jaye ya permalink optimization ke baare me aapko pta hi ab chala ho to purani posts ki permalink kaise change kare.

Edit Old Post Permalink :-


Blogger Post Ki Permalink Kaise Change Kare
Blogger Post Ki Permalink Kaise Change Kare

Aap purani post ke permalink ko bhi change kar sakte hai, iske liye niche di gayi steps ko follow kare.

1. Blogger dashboard par jaye.

2. Left side me Post tab par click kare.

3. Jis post ki permalink change karne hai uspar click kare.

4. Ab right side me Update option pass Revert To Draft ka option dikhega, us par click kare.

5. Ab Post Setting me Permalink ke option par jakar Custom Permalink par click karke permalink edit kare aur Done button par click kare.

 Blogger Post Ki Permalink Kaise Change Kare
permalink edit karna sikhe


6. Post ko wapas Publish kar de.

Blogger permalink me aap (a to z; A to Z) , (0 to 9) aur (-) , (.) ka hi use kar sakte hai. 

Post a Comment

0 Comments