Google Adsense Account Kaise Banaye Janiye Hindi Me

Google Adsense Account Kaise Banaye Janiye Hindi Me


Adsense google ki contextual advertisement service hai jo kisi brand ya organization se ad lekar Websites /blogs par dikhati hai.


Google Adsense Account Kaise Banaye

Google Adsense Account Kaise Banaye



Is post me hum aapko adsense account banane ke baare me batayenge, pahle me aapko bta dun kuch jaruri requirements.

Sabse pahli requirement to ye hai ki iske liye aapke paas website ya blog hona jaruri hai, aapki age 18 se upar honi chahiye.
Iske alawa adsense account approval itna aasan nahi hai, uski bhi kuch conditions hoti hai jinke bina account approval muskil hota hai.

Adsense Account Kaise Banate Hai

Chaliye ab aapko batate hai google adsense account banane ki step by step guide.


Adsense Signup/sign in :-


Sabse pahle adsense ke sign up page par jaye, wahapar aapko Create New Account ka option milega ya fir aap apna Existing Google Account bhi use kar sakte hai.

Aap naya account banana chahte hai to gmail account banate hai waise naya account banaye, agar aap existing account use karenge to aage ki steps follow kare.

Website/Blog Details :-


Account Sign Up ya Sign In karne ke baad ek page open hoga jisme website/blog details bharni hogi, jaise website address aur content language.

Website/blog ka url bina http:// ke enter kare,
Aur Continue button par click kare.

Contact Details :-


Agle page me contact details dalni hogi, ye ek important step hai kyoki kuch log yahape choti-2 mistakes kar dete hai jo aage jakar pareshani ban jati hai.

Payee Name wo hi daale jo naam aapke bank account me hai, jaise agar aapka naam bank account me Ashok Kumar Sharma hai aur adsense account banate time aapne payee name me Ashok Sharma likh diya to adsense payment ka Check or EFT Ashok Sharma ke naam se bheja jayega jo aapke liye musibat ban jayegi.

Adsense Policy :-


Adsense policies ko padkar jo 3 box hai unko tick karke Submit button par click kar de.

Ad Code :- 


Ab aapko adsense code ko apne blog/website par dalna hoga, ukse liye nayi ad unit banaye aur apne blog/website par lagaye.

Ad Code lagane ke baad adsense ki taraf se aapki website/blog ko dekha jayega, 1-2 din ya us se bhi kam time me aapke adsense account ke approval ya disapproval ka email aapko mil jayega.

Account approve hone ke baad ad units aapke website/blog par dikhni shuru ho jayegi, aap bayi ad units banake laga sakte hai.

Jab aapki earnings 10 $ se upar ho jayegi to aapke address par verification code bheja jayega jise verify karna jaruri hai.


Post a Comment

0 Comments