Google indexing se unwanted urls, categories and tags kaise remove kare.
Hello friends, aaj mai apko bataunga ki broken links and
unwanted categories & tags ko google me se kaise remove karte hai.
Hum log apni website/blog ko banane me bhot mehnat karte hai, din
raat sab ek kar dete hai. Lekin bhot saari galtiyo bhi karte hai. In
galtiyo ki wajah se bhot baar humari saari mehnat bekaar ho jati hai.
Inme se ek galti hai google me galat links, categories and tags ka index
ho jana.
Indexing kya hoti hai ?
Google search console |
Jab bhi hum apni koi website banate hai to wo bante hi google me nahi
aa jati. Use google me lane ke liye hume website ka sitemap google me
submit karna hota hai. Ye kaam hum karte hai Google search console se jo
phele google webmaster tools se jana jata tha.
Sitemap submit karne ke baad apke saare links kuch dino baad google
me najar aane lag jate hai. Aap apni website ki indexing aise check kar
sakte hai Site:example.com
Also read:
Also read:
10 SEO Tips and Tricks for Bloggers (in english)
Sitemap kya hota hai ?
Sitemap humari website ka ek tarah se blue print hota hai. Iski ki
help se google bots humari website ko easily aur acche se samajhte hai
aur humari indexing acchi hoti hai. Ye humari website ko jaldi crawl
hone me help karta hai. Sitemap ke baarein me aur janne ki liye Yahan padhein.
Remove karne ka tarika:
Hum apne viewers ko dhyaan me rakhte huye chote se chota step batate
hai. Agar apko kuch steps faltu lage to aap unhe skip karke aage ke
steps ko follow kare.
- Sabse phele apko Google search console open karna hai.
- Iske baad apko apni wo gmail ki id se login karna hai jisse apne gsc me apna account bana rakha hai.
- Ab apko left side me jo menus hai usme Google index→Remove URLs jana hai.
- Apko ab ek temporary hide ka option dikhega uspe click kariye.
- Click karne ke baad jo field aaegi usme apko jo link remove karna hai uska url paste karke continue par click karna hai.
- Ab apke samne 3 options open honge usme se tags and categories ke liye 3rd wala and unwanted links ke liye 1st wala select karke submit reqest par click karna hai.
Ab thode time ke baad apke pages categories ya fir tags jiske bhi links apne submit kare hai wo remove ho jaenge.
Agar apko iss post me kisi bhi step me problem hoti hai to aap
commenst ke jariye humse puch sakte hai hum apki problem jarur solve
karenge. Aur agar apko ye post accha laga to apne blogger friends ke
sath jarur share kare jisse unki bhi help ho. Like comment and share
0 Comments