Backlinks Kya Hoti Hai Aur Inke Fayde (what is backlinks and its benifits in hindi)

Jab search engine optimization ki baat hoti hai to backlinks ka bhi naam aata hai, bahut se naye blogger ye samjhne ki koshis karte hai ki backlinks kya hoti hai aur inke kya fayde hai.

Janiye backlinks kya hoti hai aur inke fayde
Backlinks Kya Hoti Hai Aur Inke Fayde
Backlinks kisi webpage par dusre webpage se aane wali links hoti hai, jab koi webpage kisi dusre webpage par linked hota hai use backlink kahte hai. Ye backlinks blog ya website ki ranking badhane me bhi madad karti hai.
Yaha par backlinks se related kuch word hai jinka matlab aapko jan lena chahiye
.
Link Juice :- Jab koi webpage kisi post ya website ke homepage se link hota hai to link juice pass karta hai jo post ki ranking aur domain authority ko improve karta hai.
Aap nofollow tag use karke link juice paas karne se rok sakte hai.
Nofollow Links :- Jab ek website dusre website se link hoti hai aur nofollow tag use kiya jata hai to wo link juice pass nahi karegi, nofollow links ranking improve karne me madad nahi karti. Generally nofollow tag tab use kiya jata hai jab hum kisi unreliable site ko link out kar rahe hote hai.
Do-Follow Links :- Wo sabhi links jo aap posts me bina nofollow tag ke add karte ho do-follow links hoti hai aur link juice paas karti hai.
Linking Root Domains :- Kisi unique domain se kitne backlinks aapki website ya blog par aa rahi hai, agar koi website aapki website par 10 baar link hai lekin wah sirf 1 linked root domain ke roop me hi consider ki jayegi.
Low Quality Links :- Wo links jo kisi harvested site, spam site ya porn site se aati hai low quality links kahlati hai.
Internal Links :- Ek hi domain par ek page se dusre page par jane wali links internal Links kahlati hai, aur ye process internal linking.

SEO Me Backlinks Ke Fayde 


Ye bahut jaruri hai ki backlinks hamesha quality sites se hi aaye, agar aapka blog technology se related hai aur uspe traveling se related blog se backlinks aati hai to wo koi kaam ki nahi hai. Ab hum baat karte hai aapke website ya blog ke liye backlinks kyo jaruri hai.

1. Search Ranking improve Hogi :-

Backlinks search engine ranking improve karne me help karti hai, yadi aapka koi post kisi dusri site se organic backlinks prapt karta hai to aapka post higher search ranking prapt karega.

2. Indexing Jaldi Hogi :- 

Backlinks aapki site ko crawl karne aur aapki site par links dundne me search engine bots ki help karti hai, nayi website ke posts ko jaldi search me aane ki liye backlinks bahut jaruri hai.

3. Referral Traffic :- 

Backlinks ka ek bada fayda ye bhi hai ki inse aapke blog par traffic bhi generate hota hai,  dusri site se visitors aapki site pe aate hai.