Blog Ki Search Engine Ranking Kaise Improve Kare
Google
me apne blog ki keyword search engine ranking kaise badhaye...? ye
question har blogger ke man me aata hai, to dosto aaiye jante hai kaise
aap apne blog ki ranking search engine ranking improve kar sakte hai.
1. Blog Post Title Ko Optimize Kare
Post ka
title hi search engine se logo ko tumhare post ko padhne ke liye
aakarshit karta hai islye post ke title ko optimize karna bahut jaruri
hota hai, post ke title me keyword jarur add kare.
Blogger Ke Liye Search Engine Optimization (SEO) Tips
Blogger Post Ki Permalink Kaise Change Kare
Blog Post Interlink Karne Ke Fayde
Blogger Post Ki Permalink Kaise Change Kare
Godaddy Custom Domain Blogger Par Kaise Set Kare
Iske alawa aapko actionable keywords ka bhi use karna chahiye post ke title me jaise ki "Updated" or "Step By Step Guide"
etc. ye keywords waise to aapko khas nahi lagenge lekin aapko bta du
aise keyword blog ki Click Through Rate(CTR) ko increase karte hai jo ki
ek ranking factor hai.
Apne title
tags ko lagbhag 55 characters ka rakhe, kyoki google 50 se 59 characters
ko consider karta hai jiske hisab se average 55 character best hai post
title ke liye.
2. Post Me Keyword Add Kare
Blog ki
search engine ranking ko improve karne ke liye aapko apne posts ke bich
me keywords add karna hota hai, iske liye aapko post me aise alag-2
keywords use karne chahiye jo same search value rakhte ho.ye aapke blog
ke google par ranking me bahut jyada help karega.
Search
engines bahut advanced ho gaye hai isliye sahi aur limited keywords ka
use karna chahiye warna aapko post search me dhang se show ni ho payega.
- Apne post ke lagbhag 2% words hi keywords use kare.
- Achhi search engine ranking ke liye shuru ke 100 words me apne main keywords ko use kare.
- Images me alt tags ka use kare, is se bhi blog ki search engine ranking par effect padta hai.
3. Internal Linking Bhi Kare
Apne hi
blog se backlinks prapt karne ka sabse badiya tarika hai internal
linking, ye bhi blog ki search engine ranking ko improve karega aur
aapke old post ko readers tak pahuchane me madad karega.
Internal linking me aapko related post ko link karna chahiye, related posts link hote hai to visitor bhi usko padhna chahega.
4. Guest Blogging Kare
Waise to
mujhe nahi lagta aap guest blogging ka matlab nahi jante honge fir bhi
bta dun, guest blogging ka matlab hota hai dusre blogs par post dalna.
Guest post dalne par aapke blog ko backlinks
milegi jo aapke blog ki search engine ranking me madad karti hai, guest
post hamesha aapke blog se related blogs par hi kare ye aapko jyada
fayda pahuchayega.
5. Dusre Blog Par Comment Kare
Ye bhi
backlinks ke liye accha tarika hai jo search engine ranking me help
karta hai, aap keywordluv or commentluv enabled blog search kar sakte
hai apne desired links comment karne ke liye.
Aise blog
jo spammy ho ya aapke blog niche se reloated na ho unpar comment nahi
kare, aisa karne par aapka blog google ke dwara flagged ho sakta hai.
6. Social Sites Par Share Kare
Social sites par content sharing ek controversial factor hai search ranking improve karne ka, ye google me higher rank pane me bahut hi jayada help karta hai.
Jitna
jyada social sites par share hoga utna hi referral traffic milege aur
ye traffic jyada authority aur higher ranking wali sites se aayega to
simple si baat hai search ranking to improve honi hi hai.
3 Comments
very useful information. what you are doing is great. providing knowledge in hindi. i would love to read more posts in the coming future. keep it up. :)
ReplyDeleteVery useful and informative article
ReplyDeleteAlso read
Common Blogging Mistakes
very useful information. what you are doing is great. providing knowledge in hindi. i would love to read more posts in the coming future. keep it up. :)
ReplyDelete