Nofollow Tag kaise add kare kisi link me SEO ke liye

No follow or do follow link use karne ka tarika

Blogging ki duniya me hamesha new bloggers ko problem rheti hai ki kaha Dofollow tag use kare aur kaha Nofollow tag use kare. Aur isi confusion me bhot baar new bloggers galat jagah nofollow and dofollow tag use kar lete hai. Dofollow and Nofollow bhot jyada confuse karte hai.

Nofollow Tag kaise add kare, seo in hindi
Nofollow Tag kaise add kare


In tags ka galat tarike se use karna apke blog ki ranking kharab kar sakta hai. Ishliye mai aaj ye post likh rha hu jisse apko aage kabhi koi problem na ho. Chaliye phele jante hai Dofollow and Nofollow tag kya hote hai aur inhe kaha use karna chaiye aur kaha nahi karna chaiye.

Read also:
Backlinks Kya Hoti Hai Aur Inke Fayde
Google indexing se unwanted urls, categories and tags kaise remove kare
Blog Post Interlink Karne Ke Fayde

Dofollow Tag kya hai aur kaha use karna chaiye:

Aisa mana jata hai ki bhot saare Dofollow tag seo ke liye bad hote hai, par aisa nahi hai. Google jab bhi koi site crawl karta hai to wo dofollow and nofollow tags ko hi follow karta hai link juice ke liye. Ishiliye in tags ko bhot soch samajh ke use karna chaiye.
  1. Iss tag ko hamesha unn sites ke sath use karna chaiye jo trustable, reliable content provide karte hai.
  2. Trustable, reliable links hamesha apki website ka trust score increase karte hai.
  3. Porn sites ya fir aisi sites jo google ki policies violate karti ho unke sath iss tag ko kabhi use mat kariyega.

Nofollow Tag kya hai aur kaha use karna chaiye:

Nofollow tag hume jab use karna chaiye jab hum kisi porn site, hacking site ya fir aisi koi bhi site ko link kar rahe ho jo trustable and reliable na ho. Aisi sites ko dofollow karne se apka link inn sites ko transfer hota hai aur apki site ki ranking bhi kharab hoti hai.
  1. Ye tag hume jab use karna chaiye jab hum kisi bad site ko link kar rahe ho.
  2. Aisi sites humare blog/website ka trust score bhi kharab karti hai.
  3. Affiliate sites ka link use karte time nofollow tag ka use karna chaiye
WordPress and Blogger me phele se hi saare links ke liye Dofollow tag default set hota hai. Lekin hum ise change kar sakte hai individual post ke liye.

Note: wase is no follow or do follow ka ak simple sa fanda 70 and 30 ka h . matlab agar hame 7 baar do follow dia h to hame 3 baar no follow link bhi dena chahiye but asa koi hard and fast rule nhi h.

Nofollow Tag kaise use kare:

Kisi bhi link me nofollow tag use karne ke liye apko nofollow attribute use karna hota hai.
By default apka link <a href=”http://www.apkalink.com”>Example link</a> aisa hota hai. Iss link me nofollow tag use karne liye apko rel=”nofollow” attribute use karna hoga. Kuch iss tarah:

<a href=”http://www.apkalink.com” rel=”nofollow”>Example link</a>

apkalink.com ki jagah apko apna link use karna hai aur fir uss link me jaise uppar diya hai waise hi nofollow attribute use karna hai. Apne link me nofollow attribute use karte hi apka link nofollow ho jaega aur fir apka link juice iss link par nahi jaega.
WordPress me Text par click karke and blogger me Edit HTML par click karke aap ise use kar sakte hai.


Agar apko ye post accha laga to ise like, comment and share karna na bhule. Aap niche comment karke humse koi bhi question puch sakte hai.

Post a Comment

0 Comments